kitne shorida-sar mohabbat mein
ho gae kucha-e-sanam ki KHak
Qabil Ajmeri
KHud tumhein chaak-e-gareban ka shuur aa jaega
tum wahan tak aa to jao hum jahan tak aa gae
Qabil Ajmeri
kaun yaad aa gaya azan ke waqt
bujhta jata hai dil charagh jale
Qabil Ajmeri
hum ne us ke lab o ruKHsar ko chhu kar dekha
hausle aag ko gulzar bana dete hain
Qabil Ajmeri
hum badalte hain ruKH hawaon ka
aae duniya hamare sath chale
Qabil Ajmeri
hairaton ke silsile soz-e-nihan tak aa gae
hum nazar tak chahte the tum to jaan tak aa gae
Qabil Ajmeri
gham-e-jahan ke taqaze shadid hain warna
junun-e-kucha-e-dildar hum bhi rakhte hain
Qabil Ajmeri
din chhupa aur gham ke sae Dhale
aarzu ke nae charagh jale
Qabil Ajmeri
ahut kaam lene hain dard-e-jigar se
kahin zindagi ko qarar aa na jae
Qabil Ajmeri