qalib ko apne chhoD ke maqlub ho gae
kya aur koi qalb hai is inqalab mein
Pandit Jawahar Nath Saqi
nigah-e-naz se is chust qaba ne dekha
shauq betab gul-e-chaak-e-gareban samjha
Pandit Jawahar Nath Saqi
nairang-e-ishq aaj to ho jae kuchh madad
pur-fan ko hum karen mutahayyar kisi tarah
Pandit Jawahar Nath Saqi
nahin khulta sabab tabassum ka
aaj kya koi bosa denge aap
Pandit Jawahar Nath Saqi
apne junun-kade se nikalta hi ab nahin
saqi jo mai-farosh sar-e-rahguzar tha
Pandit Jawahar Nath Saqi
meri qismat ki kaji ka aks hai
ye jo barham gesu-e-pur-KHam raha
Pandit Jawahar Nath Saqi
mahw-e-liqa jo hain malakuti-KHisal hain
bedar ho ke bhi nazar aate hain KHwab mein
Pandit Jawahar Nath Saqi
kiya hai chashm-e-murawwat ne aaj mail-e-mehr
main un ki bazm se kal aabdida aaya tha
Pandit Jawahar Nath Saqi
jazba-e-ishq chahiye sufi
jo hai afsurda ahl-e-haal nahin
Pandit Jawahar Nath Saqi

