kya kisi se kisi ka haal kahen
nam bhi to liya nahin jata
Nizam Rampuri
na ban aaya jab un ko koi jawab
to munh pher kar muskurane lage
Nizam Rampuri
muntazir hun kisi ke aane ka
kis ki aankhon mein aa ke KHwab rahe
Nizam Rampuri
mere milne se jo yun hath uTha-baiTha tu
nahin malum ki dil mein tere kya baiTh gaya
Nizam Rampuri
mazmun sujhte hain hazaron nae nae
qasid ye KHat nahin mere gham ki kitab hai
Nizam Rampuri
manzur kya hai ye bhi to khulta nahin sabab
milta to hai wo hum se magar kuchh ruka hua
Nizam Rampuri
main na kahta tha ki bahkaenge tum ko dushman
tum ne kis waste aana mere ghar chhoD diya
Nizam Rampuri
lipTa ke shab-e-wasl wo us shoKH ka kahna
kuchh aur hawas is se ziyaada to nahin hai
Nizam Rampuri
KHushbu wo pasine ki teri yaad na aa jae
gul kaisa kabhi itr bhi sungha na karenge
Nizam Rampuri

