mere sine se lag kar der tak roti hai tanhai
kisi ne kah diya us se mohabbat ho gai mujh ko
Neel Ahmed
apni aankhen nahin jalaungi
main ne bujhte charagh dekhe hain
Neel Ahmed
kitne aalam guzar gae mujh par
tum ko socha tha ek lamhe ko
Neel Ahmed
kisi ko yaad karne ke nahin maKHsus kuchh lamhe
koi jab yaad aa jae to phir wo yaad aata hai
Neel Ahmed
KHud-farebi rahe to achchha hai
KHud-shanasi tabah kar degi
Neel Ahmed
jab jab tum ko yaad karen hum
tab tab barish ho jati hai
Neel Ahmed
hawa ka rang nahin hai magar mizaj to hai
hawa se dosti karna koi mazaq nahin
Neel Ahmed
dil ki udasiyon ka koi sabab nahin hai
bas ye sabab hai mere dil ki udasiyon ka
Neel Ahmed
aur phir mohabbat mein ji ke mar ke dekha hai
log sochte hain jo hum ne kar ke dekha hai
Neel Ahmed