ab ke bar main tujh se milne nahin aaya
tujh ko apne sath le jaane aaya hun
Nazeer Qaisar
kabhi karna ho andaza jab apne dard ka mujh ko
main us bedard ke dil ko dukha kar dekha leta hun
Nazeer Qaisar
jab wo sath hota hai
hum akele hote hain
Nazeer Qaisar
chalte chalte main us ko ghar le aaya
wo bhi apna hath chhuDana bhul gaya
Nazeer Qaisar
ikhar ke jata kahan tak ki main to KHushbu tha
hawa chali thi mujhe apne ham-rikab liye
Nazeer Qaisar
as hum donon zinda hain
baqi duniya fani hai
Nazeer Qaisar
aras rahi thi barish bahar
aur wo bhig raha tha mujh mein
Nazeer Qaisar
achche ne titli pakaD kar chhoD di
aaj mujh ko bhi KHuda achchha laga
Nazeer Qaisar