jo de saka na pahaDon ko barf ki chadar
wo meri banjh zamin ko kapas kya dega
Mohsin Naqvi
jin ashkon ki phiki lau ko hum bekar samajhte the
un ashkon se kitna raushan ek tarik makan hua
Mohsin Naqvi
jab se us ne shahr ko chhoDa har rasta sunsan hua
apna kya hai sare shahr ka ek jaisa nuqsan hua
Mohsin Naqvi
har waqt ka hansna tujhe barbaad na kar de
tanhai ke lamhon mein kabhi ro bhi liya ka
Mohsin Naqvi
hum apni dharti se apni har samt KHud talashen
hamari KHatir koi sitara nahin chalega
Mohsin Naqvi
gahri KHamosh jhil ke pani ko yun na chheD
chhinTe uDe to teri qaba par bhi aaenge
Mohsin Naqvi
dasht-e-hasti mein shab-e-gham ki sahar karne ko
hijr walon ne liya raKHt-e-safar sannaTa
Mohsin Naqvi
chunti hain mere ashk ruton ki bhikaranen
'mohsin' luTa raha hun sar-e-am chandni
Mohsin Naqvi
azal se qaem hain donon apni zidon pe 'mohsin'
chalega pani magar kinara nahin chalega
Mohsin Naqvi