main ne mana ki dil nahin nakaam
phir mere kaam kyun nahin aata
Mirza Asman Jah Anjum
thak gae hum to fusun-saziyan karte karte
us pe chalta nahin mutlaq koi ganDa tawiz
Mirza Asman Jah Anjum
teri tegh ki aab jati rahi hai
mere zaKHm pani churae hue hain
Mirza Asman Jah Anjum
un ke aane mein kyun KHalal Dala
satyanas ho tera badli
Mirza Asman Jah Anjum
unhen haal-e-dil kis tarah likh ke bhejen
na hum un se waqif na wo hum se waqif
Mirza Asman Jah Anjum
ye batlao hum ko bhi pahchante ho
hamein kya jo ho sare aalam se waqif
Mirza Asman Jah Anjum
ye bhi na puchha tum ne 'anjum' jita hai ya marta hai
wah-ji-wa aashiq se koi aisi ghaflat karta hai
Mirza Asman Jah Anjum
ye hai aawara-tabiat aur wo nazuk-mizaj
main dil-e-warafta nazr-e-yar kar sakta nahin
Mirza Asman Jah Anjum
ja lagegi kashti-e-dil sahil-e-ummid par
dida-e-tar se agar dariya rawan ho jaega
Mirza Asman Jah Anjum

