aap ko mere taaruf ki zarurat kya hai
main wahi hun ki jise aap ne chaha tha kabhi
Mazhar Imam
ab kisi rah pe jalte nahin chahat ke charag
tu meri aaKHiri manzil hai mera sath na chhoD
Mazhar Imam
ab to kuchh bhi yaad nahin hai
hum ne tum ko chaha hoga
Mazhar Imam
ab us ko sochte hain aur hanste jate hain
ki tere gham se talluq raha hai kitni de
Mazhar Imam
aksar aisa bhi mohabbat mein hua karta hai
ki samajh-bujh ke kha jata hai dhoka koi
Mazhar Imam
asr-e-nau mujh ko nigahon main chhupa kar rakh le
ek miTti hui tahzib ka sarmaya hun
Mazhar Imam
astiyon ka ujaDna basna kya
be-jhijak qatl-e-am karta ja
Mazhar Imam
chalo hum bhi wafa se baz aae
mohabbat koi majburi nahin hai
Mazhar Imam
doston se mulaqat ki sham hai
ye saza kaT kar apne ghar jaunga
Mazhar Imam