faza mein gunj rahi hain kahaniyan gham ki
hamin ko hausla-e-sharh-e-dastan na raha
Matin Niazi
achchon ka sa mizaj hai taKHliq-kar ka
apne siwa kisi ko baDa manta nahin
Matin Niazi
anasir ki koi tartib qaem rah nahin sakti
taghayyur ghair-fani hai taghayyur jawedani hai
Matin Niazi
aise khoe sahar ke diwane
luT kar sham tak na ghar aae
Matin Niazi
agar duniya tujhe diwana kahti hai to kahne de
wafadaran-e-ulfat par yahi ilzam aata hai
Matin Niazi
aatish-e-gul koi chingari nahin shoala nahin
phul khilte hain to gulshan mera jalta kyun hai
Matin Niazi
aap se yaad aap ki achchhi
aap to hum ko bhul jate hain
Matin Niazi
aadmi aur dard se na-ashna mumkin nahin
aks se KHali ho koi aaina mumkin nahin
Matin Niazi