kaghazon par muflisi ke morche sar ho gae
aur kahne ke liye haalat behtar ho gae
Manish Shukla
hum ne to pas-e-adab mein banda-parwar kah diya
aur wo samjhe ki sach mein banda-parwar ho gae
Manish Shukla
hum charaghon ki madad karte rahe
aur udhar suraj bujha Dala gaya
Manish Shukla
guftugu ka koi to milta sira
phir use naraaz kar ke dekhte
Manish Shukla
dil ka sara dard bhara taswiron mein
ek musawwir naqsh hua taswiron mein
Manish Shukla
chand lakiren to is darja gahri thin
dekhne wala Dub gaya taswiron mein
Manish Shukla
ataun kya tumhein hasil safar ka
adhuri dastan hai aur main hun
Manish Shukla
aat karne ka hasin taur-tariqa sikha
hum ne urdu ke bahane se saliqa sikha
Manish Shukla
awwal aaKHir hi jab nahin bas mein
kya karen darmiyan ki baaten
Manish Shukla