ek aaseb taaqub mein laga rahta hai
main jo rukta hun to phir us ki sada chalti hai
Liaqat Jafri
haalanki pahle sae se rahti thi kashmakash
ab apne bojh se hi daba ja raha hun main
Liaqat Jafri
hum bhi ji bhar ke tujhe koste phirte lekin
hum tera lahja-e-be-bak kahan se laen
Liaqat Jafri
lafz ko ilham mani ko sharar samjha tha main
dar-haqiqat aib tha jis ko hunar samjha tha main
Liaqat Jafri
main aaKHiri tha jise sarfaraaz hona tha
mere hunar mein bhi kotahiyan nikal aain
Liaqat Jafri
main bahut jald lauT aaunga
tum mera intizar mat karna
Liaqat Jafri
main kuchh din se achanak phir akela paD gaya hun
nae mausam mein ek wahshat purani kaTti hai
Liaqat Jafri
mere qabile mein talim ka riwaj na tha
mere buzurg magar taKHtiyan banate the
Liaqat Jafri
phir murattab kiye gae jazbaat
ishq ko ibtida mein rakkha gaya
Liaqat Jafri