aankh ki putli sab kuchh dekhe dekhe na apni zat 
ujla dhaga maila howe lagen jo maile hat
Kishwar Naheed
jawan gehun ke kheton ko dekh kar ro den 
wo laDkiyan ki jinhen bhul baiThin maen bhi
Kishwar Naheed
hamein dekho hamare pas baiTho hum se kuchh sikho 
hamin ne pyar manga tha hamin ne dagh pae hain
Kishwar Naheed
hamein aziz hain in bastiyon ki diwaren 
ki jin ke sae bhi diwar bante jate the
Kishwar Naheed
dil mein hai mulaqat ki KHwahish ki dabi aag 
mehndi lage hathon ko chhupa kar kahan rakkhun
Kishwar Naheed
dil ko bhi gham ka saliqa na tha pahle pahle 
us ko bhi bhulna achchha laga pahle pahle
Kishwar Naheed
hul jaoge ki rahte the yahan dusre log 
kal phir aabaad karenge ye makan dusre log
Kishwar Naheed
apni be-chehragi chhupane ko 
aaine ko idhar udhar rakkha
Kishwar Naheed

