tumhaari yaad mein hum jashn-e-gham manaen bhi
kisi tarah se magar tum ko yaad aaen bhi
chhalak hi paDte hain KHud hi gulab aankhon ke
wo pas aaen to ye dastan sunain bhi
har ek lamha yahi bekali si hai dil mein
ki un ko yaad karen un ko bhul jaen bhi
jawan gehun ke kheton ko dekh kar ro den
wo laDkiyan ki jinhen bhul baiThin maen bhi
tamam umr yunhi ratjagon se kya hasil
unhen bhulaen zara nind ko bulaen bhi
sukun milta hai jalti hui dopahron mein
bani hain marham-e-dil dhup ki shuaen bhi
rawa-rawi mein hai har ek sohbat-e-yaran
milen sakun se to qisse tere sunaen bhi
wo jin ke zikr se 'nahid' zindagi hai hasin
wo log aaen to aankhon pe hum biThaen bhi
Ghazal
Tumhaari yaad mein hum jashn-e-gham manaen bhi
Kishwar Naheed