apne kuche mein mujhe rone to de ai rashk-e-gul 
baghban pani hamesha dete hain gulzar ko
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
aal-o-par bhi gae bahaar ke sath 
ab tawaqqo nahin rihai ki
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
arson gul-e-KHurshid o gul-e-mah ko dekha 
taza koi dikhlae hamein charKH-e-kuhan phul
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
e tere mujhe did ka kuchh shauq nahin hai 
tu parda-nashin hai to nigah gosha-nashin hai
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
ut bhi na bhulen yaad KHuda ki bhi kijiye 
paDhiye namaz kar ke wuzu aab-e-gang se
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
chhan Dala tamam kaba-o-dair 
ai hamare KHuda kahan tu hai
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
chup rah ke guftugu hi se paDta hai tafarqe 
hote hain dono honT juda ek sada ke sath
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
dagh us pe kahan the ye gali ho ke phira hai 
bheja tha jise ye wo kabutar to nahin hai
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
dekh pachhtaega o but mere tarsane se 
uTh ke kabe ko chala jaunga but-KHane se
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi

