phul jab jhaDne lage rangin-bayani se meri 
rah gai hairat se bulbul khol kar minqar ko
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
phir wahi hum the wahi tum the mohabbat the wahi 
sulh kar lete agar aankhen laDane ke liye
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
pahunchaya ta-ba-kaba-e-maqsud faqr ne 
tark-e-libas-e-jama-e-ehram ho gaya
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
pahan lo ai buto zunnar-e-tasbih-e-sulaimani 
rakho raazi isi parde mein har shaiKH-o-barahman ko
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
na ponchho mere aansu tum na ponchho 
kahega koi tum ko KHosha-chin hai
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
mera kuchh haal kah kar zikr-e-majnun karte hain aashiq 
kitab-e-ashiqi mein apna qissa pesh-KHwani hai
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
kya isi ne ye kiya matla-e-abru mauzun 
tum jo kahte ho suKHan-go hai baDi meri aankh
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
kya hai harjai hasinan-e-jahan sari hain 
ye wo aKHtar hain ki sabit nahin sayyari hain
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
kya did ke qabil tere kuche ki zamin hai 
har gam hai naqsh-e-qadam-e-rah-guazri aankh
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi

