KHuda ne baKHsha hai kya zarf mom-batti ko
pighalte rahna magar sari raat chup rahna
Khurshid Talab
aaiye bich ki diwar gira dete hain
kab se ek masala be-kar mein uljha hua hai
Khurshid Talab
kabhi dimagh ko KHatir mein hum ne laya nahin
hum ahl-e-dil the hamesha rahe KHasare mein
Khurshid Talab
hawa to hai hi muKHalif mujhe Daraata hai kya
hawa se puchh ke koi diye jalata hai kya
Khurshid Talab
hawa se kah do ki kuchh der ko Thahar jae
KHajil hamari ibarat hawa se hoti hai
Khurshid Talab
har ek ahd ne likkha hai apna nama-e-shauq
kisi ne KHun se likha hai kisi ne aansu se
Khurshid Talab
hamein har waqt ye ehsas daman-gir rahta hai
paDe hain Dher sare kaam aur mohlat zara si hai
Khurshid Talab
ahut nuqsan hota hai
ziyaada hoshiyari mein
Khurshid Talab
azizo aao ab ek al-widai jashn kar len
ki is ke baad ek lamba safar afsos ka hai
Khurshid Talab