dekh kar bhi na dekhna us ka
ye ada to buton mein hoti hai
Khurshid Rabbani
matami kapDe pahan liye the meri zamin ne
aur falak ne chand sitara pahan liya tha
Khurshid Rabbani
koi nahin jo miTae meri siyah-baKHti
falak pe kitne sitare hain jagmagae hue
Khurshid Rabbani
kisi ne meri taraf dekhna na tha 'KHurshid'
to be-sabab hi sanwara gaya tha kyun mujh ko
Khurshid Rabbani
kisi KHayal kisi KHwab ke liye 'KHurshid'
diya dariche mein rakkha tha dil jalaya tha
Khurshid Rabbani
kis ki KHatir ujaD raste par
phul le kar shajar khaDa hua tha
Khurshid Rabbani
KHwabon ki main ne ek imarat banai aur
yaadon ka us mein ek daricha bana liya
Khurshid Rabbani
KHuda kare ki khule ek din zamane par
meri kahani mein jo istiara KHwab ka hai
Khurshid Rabbani
hawa-e-taza ka jhonka idhar se kya guzra
gire paDe hue patton mein jaan aa gai hai
Khurshid Rabbani