ajab bahaar dikhai lahu ke chhinTon ne
KHizan ka rang bhi rang-e-bahaar jaisa tha
Junaid Hazin Lari
dekha nahin wo chand sa chehra kai din se
tarik nazar aati hai duniya kai din se
Junaid Hazin Lari
dur sahil se koi shoKH ishaara bhi nahin
Dubne wale ko tinke ka sahaara bhi nahin
Junaid Hazin Lari
ghairon ki shikasta haalat par hansna to hamara shewa tha
lekin hue hum aazurda bahut jab apne ghar ki baat chali
Junaid Hazin Lari
gham de gaya nashat-e-shanasai le gaya
wo apne sath apni masihai le gaya
Junaid Hazin Lari
ek sham-e-arzu ki haqiqat hi kya magar
tufan mein hum charagh jalae hue to hain
Junaid Hazin Lari
ishq hai ji ka ziyan ishq mein rakkha kya hai
dil-e-barbaad bata teri tamanna kya hai
Junaid Hazin Lari
kabhi is rah se guzre wo shayad
gali ke moD par tanha khaDa hun
Junaid Hazin Lari
kaliyon mein tazgi hai na phulon mein bas hai
tere baghair sara gulistan udas hai
Junaid Hazin Lari