soz-e-gham hi se meri aankh mein aansu aae
sochta hun ki ise aag kahun ya pani
Josh Malsiani
maqbul hon na hon ye muqaddar ki baat hai
sajde kisi ke dar pe kiye ja raha hun main
whether or not accepted, it is up to fate
at her doorstep on and on, I myself prostrate
Josh Malsiani
mohabbat kahan ye to bechaargi hai sitam bhi sahen phir karam is ko samjhen
ye jabr is liye kar liya hai gawara ki is ke siwa koi chaara na dekha
Josh Malsiani
naqsh-e-ulfat miT gaya to dagh-e-ulfat hain bahut
shukr kar ai dil ki tere ghar ki daulat ghar mein hai
Josh Malsiani
pi loge to ai shaiKH zara garm rahoge
ThanDa hi na kar den kahin jannat ki hawaen
Josh Malsiani
wahi marne ki tamanna wahi jine ki hawas
na jafaen tumhein aain na wafaen aain
Josh Malsiani
ye ada hui ki jafa hui ye karam hua ki saza hui
use shauq-e-did ata kiya jo nigah ki tab na la sake
is this grace or torment, a favour or a punishment
Lust for sight he has got, but no vision to present
Josh Malsiani
ya rahen is mein apne ghar ki tarah
ya mere dil mein aap ghar na karen
Josh Malsiani
kis tarah dur hon aalam-e-gharib-ul-watani
zindagi KHud bhi gharib-ul-watani hoti hai
Josh Malsiani

