aai thi chand gam usi be-wafa ke sath
phir umr bhar ko bhul gai zindagi hamein
Javed Kamal Rampuri
ab to aa jao rasm-e-duniya ki
main ne diwar bhi gira di hai
Javed Kamal Rampuri
agar sukun se umr-e-aziz khona ho
kisi ki chah mein KHud ko tabah kar lije
Javed Kamal Rampuri
darwazon ke pahre hain diwaron ke sanginen
hota jo mere bas mein is ghar se nikal jata
Javed Kamal Rampuri
din ke sine mein dhaDakte hue lamhon ki qasam
shab ki raftar-e-subuk-gam se ji Darta hai
Javed Kamal Rampuri
hae wo log hum se ruTh gae
jin ko chaha tha zindagi ki tarah
Javed Kamal Rampuri
hath phir baDh raha hai su-e-jam
zindagi ki udasiyon ko salam
Javed Kamal Rampuri
hum aagahi ko rote hain aur aagahi hamein
waraftagi-e-shauq kahan le chali hamein
Javed Kamal Rampuri
phir kai zaKHm-e-dil mahak uTThe
phir kisi bewafa ki yaad aai
Javed Kamal Rampuri