aaya ye kaun saya-e-zulf-e-daraaz mein
peshani-e-sahar ka ujala liye hue
Jameel Mazhari
ai sajda-farosh-e-ku-e-butan har sar ke liye ek chaukhaT hai
ye bhi koi shan-e-ishq hui jis dar pe gae sar phoD liya
Jameel Mazhari
a-qadr-e-paimana-e-taKHayyul surur har dil mein hai KHudi ka
agar na ho ye fareb-e-paiham to dam nikal jae aadmi ka
Jameel Mazhari
uton ko toD ke aisa KHuda banana kya
buton ki tarah jo ham-shakl aadmi ka ho
Jameel Mazhari
hum mohabbat ka sabaq bhul gae
teri aankhon ne paDhaya kya hai
Jameel Mazhari
hone do charaghan mahlon mein kya hum ko agar diwali hai
mazdur hain hum mazdur hain hum mazdur ki duniya kali hai
Jameel Mazhari
inhi hairat-zada aankhon se dekhe hain wo aansu bhi
jo aksar dhup mein mehnat ki peshani se Dhalte hain
Jameel Mazhari
jalane wale jalate hi hain charagh aaKHir
ye kya kaha ki hawa tez hai zamane ki
Jameel Mazhari
kise KHabar thi ki le kar charagh-e-mustafawi
jahan mein aag lagati phiregi bu-lahabi
Jameel Mazhari