aaina kabhi qabil-e-didar na howe
gar KHak ke sath us ko sarokar na howe
Ishq Aurangabadi
'ishq' raushan tha wahan dida-e-ahu se charagh
main jo yak raat gaya qais ke kashane mein
Ishq Aurangabadi
ho gul bulbul tabhi bulbul pe bulbul phul kar gul ho
tere gar gul-badan bar mein qaba-e-chashm-e-bulbul ho
Ishq Aurangabadi
giraftari ki lazzat aur nira aazad kya jaane
KHushi se kaTna gham ka dil-e-nashad kya jaane
Ishq Aurangabadi
gar shaiKH ne aah ki to mat bhul
dil mein patthar ke bhi sharar hai
Ishq Aurangabadi
duKHtar-e-raz mat kaho napak hai
aabru-e-dudman-e-tak hai
Ishq Aurangabadi
ai muqallid bul-hawas hum se na kar dawa-e-ishq
dagh lala ki tarah rakhte hain madar-zad hum
Ishq Aurangabadi
aashiq ki siyah-rozi ijad hui jis din
us roz se KHwabon ki ye zulf pareshan hai
Ishq Aurangabadi
aankhon se dil ke did ko mane nahin nafas
aashiq ko ain-hijr mein bhi wasl-e-yar hai
Ishq Aurangabadi