sajda-gah-e-barhaman aur shaiKH hain dair-o-haram
mai-paraston ke liye buniyaad mai-KHane hue
Hasrat Azimabadi
mat halak itna karo mujh ko malamat kar kar
nek-namo tumhein kya mujh se hai bad-nam se kaam
Hasrat Azimabadi
mohabbat ek tarah ki niri samajat hai
main chhoDun hun teri ab justuju hua so hua
Hasrat Azimabadi
na-KHalaf bas-ki uThi ishq o junun ki aulad
koi aabaad-kun-e-KHana-e-zanjir nahin
Hasrat Azimabadi
nibhe thi aan unhon ki hamesha ishq mein KHub
tumhaare daur mein meri gada huin aankhen
Hasrat Azimabadi
ahe hai naqsh mere chashm-o-dil par yun teri surat
musawwir ki nazar mein jis tarah taswir phirti hai
Hasrat Azimabadi
saqiya paiham pila de mujh ko mala-mal jam
aaya hun yan main azab-e-hoshyari khinch ka
Hasrat Azimabadi
uThun dahshat se ta mahfil se us ki
itab us ka hai har ek ham-nashin pa
Hasrat Azimabadi
zulf-e-kalmunhi ko pyare itna bhi sar mat chaDha
be-mahaba munh pe tere panw karti hai daraaz
Hasrat Azimabadi

