aaine mein hai faqat aap ka aks
aaina aap ki surat to nahin
Haneef akhgar
aankhon mein jal rahe the diye e'tibar ke
ehsas-e-zulmat-e-shab-e-hijran nahin raha
Haneef akhgar
ajab hai aalam ajab hai manzar ki sakta mein hai ye chashm-e-hairat
naqab ulaT kar wo aa gae hain to aaine gunguna rahe hain
Haneef akhgar
azm ko rang-e-suKHan main ne diya hai 'aKHgar'
log chup chup the meri tarz-e-nawa se pahle
Haneef akhgar
e-shak asir-e-gesu-e-jaanan hain be-shumar
hai koi ishq mein bhi giraftar dekhna
Haneef akhgar
dekhiye ruswa na ho jae kahin kar-e-junun
apne diwane ko ek patthar to mare jaiye
Haneef akhgar
dekho hamari samt ki zinda hain hum abhi
sachchaiyon ki aaKHiri pahchan ki tarah
Haneef akhgar
fuqdan-e-uruj-e-rasan-o-dar nahin hai
mansur bahut hain lab-e-izhaar nahin hai
Haneef akhgar
har taraf hain KHana-barbaadi ke manzar be-shumar
kuchh Thikana hai bhala is jazba-e-tamir ka
Haneef akhgar