mere Dub jaane ka bais na puchho
kinare se Takra gaya tha safina
Hafeez Jalandhari
mera tajraba hai ki is zindagi mein
pareshaniyan hi pareshaniyan hain
Hafeez Jalandhari
meri qismat ke nawishte ko miTa de koi
mujh ko qismat ke nawishte ne miTa rakkha hai
Hafeez Jalandhari
main wo basti hun ki yaad-e-raftagan ke bhes mein
dekhne aati hai ab meri hi virani mujhe
Hafeez Jalandhari
mabaada phir asir-e-dam-e-aql-o-hosh ho jaun
junun ka is tarah achchha nahin had se guzar jaana
Hafeez Jalandhari
kyun hijr ke shikwe karta hai kyun dard ke rone rota hai
ab ishq kiya to sabr bhi kar is mein to yahi kuchh hota hai
Hafeez Jalandhari
koi dawa na de sake mashwara-e-dua diya
chaaragaron ne aur bhi dard dil ka baDha diya
Hafeez Jalandhari
koi chaara nahin dua ke siwa
koi sunta nahin KHuda ke siwa
Hafeez Jalandhari
kis munh se kah rahe ho hamein kuchh gharaz nahin
kis munh se tum ne wada kiya tha nibah ka
Hafeez Jalandhari