kahin ye tark-e-mohabbat ki ibtida to nahin
wo mujh ko yaad kabhi is qadar nahin aae
Hafeez Hoshiarpuri
ab yahi mere mashaghil rah gae
sochna aur jaanib-e-dar dekhna
Hafeez Hoshiarpuri
hum ko manzil ne bhi gumrah kiya
raste nikle kai manzil se
Hafeez Hoshiarpuri
gham-e-zindagani ke sab silsile
bil-aKHir gham-e-ishq se ja mile
Hafeez Hoshiarpuri
gham-e-zamana teri zulmaten hi kya kam thin
ki baDh chale hain ab in gesuon ke bhi sae
Hafeez Hoshiarpuri
duniya mein hain kaam bahut
mujh ko itna yaad na aa
Hafeez Hoshiarpuri
dosti aam hai lekin ai dost
dost milta hai baDi mushkil se
friendship is commonplace my dear
but friends are hard to find I fea
Hafeez Hoshiarpuri
dil se aati hai baat lab pe 'hafiz'
baat dil mein kahan se aati hai
Hafeez Hoshiarpuri
dil mein ek shor sa uTha tha kabhi
phir ye hangama umr bhar hi raha
Hafeez Hoshiarpuri