aafiyat ki ummid kya ki abhi
dil-e-ummid-war baqi hai
Habeeb Ahmad Siddiqui
faiz-e-ayyam-e-bahaar ahl-e-qafas kya jaanen
chand tinke the nasheman ke jo hum tak pahunche
Habeeb Ahmad Siddiqui
gulon se itni bhi wabastagi nahin achchhi
rahe KHayal ki ahd-e-KHizan bhi aata hai
Habeeb Ahmad Siddiqui
hae be-dad-e-mohabbat ki ye in barbaadi
hum ko ehsas-e-ziyan bhi to nahin hota hai
Habeeb Ahmad Siddiqui
hai nawed-e-bahaar har lab par
kam-nasibon ko e'tibar nahin
Habeeb Ahmad Siddiqui
har qadam par hai ehtisab-e-amal
ek qayamat pe inhisar nahin
Habeeb Ahmad Siddiqui
hazaron tamannaon ke KHun se hum ne
KHaridi hai ek tohmat-e-parsai
Habeeb Ahmad Siddiqui
ek fasl-e-gul ko le ke tahi-dast kya karen
aai hai fasl-e-gul to gareban bhi chahiye
Habeeb Ahmad Siddiqui