ek kaba ke sanam toDe to kya
nasl-o-millat ke sanam-KHane bahut
Habeeb Ahmad Siddiqui
aap sharminda jafaon pe na hon
jin pe guzri thi wahi bhul gae
Habeeb Ahmad Siddiqui
aashna jab tak na tha us ki nigah-e-lutf se
wardat-e-qalb ko husn-e-bayan samjha tha main
Habeeb Ahmad Siddiqui
ab bahut dur nahin manzil-e-dost
kabe se chand qadam aur sahi
Habeeb Ahmad Siddiqui
ab to jo shai hai meri nazron mein hai na-paedar
yaad aaya main ki gham ko jawedan samjha tha main
Habeeb Ahmad Siddiqui
apne daman mein ek tar nahin
aur sari bahaar baqi hai
Habeeb Ahmad Siddiqui
a-sad ada-e-dilbari hai iltija-e-mai-kashi
ye hosh ab kise ki mai haram ya halal hai
Habeeb Ahmad Siddiqui
atae kaun kisi ko nishan-e-manzil-e-zist
abhi to hujjat-e-baham hai rahguzar ke liye
Habeeb Ahmad Siddiqui
chashm-e-sayyaad pe har lahza nazar rakhta hai
hae wo said jo kahne ko tah-e-dam nahin
Habeeb Ahmad Siddiqui