andaza aadmi ka kahan gar na ho sharab
paimana zindagi ka nahin gar subu na ho
Ghulam Maula Qalaq
ashk ke girte hi aankhon mein andhera chha gaya
kaun si hasrat ka yarab ye charagh-e-KHana tha
Ghulam Maula Qalaq
osa dene ki chiz hai aaKHir
na sahi har ghaDi kabhi hi sahi
Ghulam Maula Qalaq
ut-KHane ki ulfat hai na kabe ki mohabbat
juyai-e-nairang hai jab tak ki nazar hai
Ghulam Maula Qalaq
dayar-e-yar ka shayad suragh lag jata
juda jo jada-e-maqsud se safar hota
Ghulam Maula Qalaq
dil ke har juzw mein judai hai
dard uThe aabla agar baiThe
Ghulam Maula Qalaq
fikr-e-sitam mein aap bhi paband ho gae
tum mujh ko chhoD do to main tum ko riha karun
Ghulam Maula Qalaq
gali se apni irada na kar uThane ka
tera qadam hun na fitna hun main zamane ka
Ghulam Maula Qalaq
hai agar kuchh wafa to kya kahne
kuchh nahin hai to dil-lagi hi sahi
Ghulam Maula Qalaq