ab main hudud-e-hosh-o-KHirad se guzar gaya
Thukrao chahe pyar karo main nashe mein hun
Ganesh Bihari Tarz
ahl-e-dil ke waste paigham ho kar rah gai
zindagi majburiyon ka nam ho kar rah gai
Ganesh Bihari Tarz
ai gardisho tumhein zara taKHir ho gai
ab mera intizar karo main nashe mein hun
Ganesh Bihari Tarz
arz-e-dakan mein jaan to dilli mein dil bani
aur shahr-e-lucknow mein hina ban gai ghazal
Ganesh Bihari Tarz
azm-e-yaran hai ye saqi mai nahin to gham na kar
kitne hain jo mai-kada bar-dosh hain yaron ke bich
Ganesh Bihari Tarz
'dagh' ke sher jawani mein bhale lagte hain
'mir' ki koi ghazal gao ki kuchh chain paDe
Ganesh Bihari Tarz
dil-e-gham-zada pe guzar gaya hai wo hadsa ki mere liye
na to gham raha na KHushi rahi na junun raha na pari rahi
Ganesh Bihari Tarz
pattharon ke des mein shishe ka hai apna waqar
dewta apni jagah aur aadmi apni jagah
Ganesh Bihari Tarz
aat ki raat bahut dekh li duniya teri
subh hone ko hai ab 'tarz' ko so jaane de
Ganesh Bihari Tarz