hawa ke khel mein shirkat ke waste mujh ko
KHizan ne shaKH se phenka hai rahguzar ke bich
Ejaz Gul
ajib shaKHs tha main bhi bhula nahin paya
kiya na us ne bhi inkar yaad aane se
Ejaz Gul
hairat hai sab talash pe us ki rahe musir
paya gaya suragh na jis be-suragh ka
Ejaz Gul
dinon mahinon aankhen roin nai ruton ki KHwahish mein
rut badli to sukhe patte dahlizon mein dar aae
Ejaz Gul
dhup jawani ka yarana apni jagah
thak jata hai jism to saya mangta hai
Ejaz Gul
dar khol ke dekhun zara idrak se bahar
ye shor sa kaisa hai meri KHak se baha
Ejaz Gul
chaha tha mafar dil ne magar zulf-e-girah-gir
pechaak banati rahi pechaak se baha
Ejaz Gul
ujhi nahin mere aatish-kade ki aag abhi
uTha nahin hai badan se dhuan kahan gaya main
Ejaz Gul
e-sabab jama to karta nahin tir o tarkash
kuchh hadaf hoga zamane ki sitamgari ka
Ejaz Gul