sirf hangama khaDa karna mera maqsad nahin
meri koshish hai ki ye surat badalni chahiye
Dushyant Kumar
ab to is talab ka pani badal do
ye kanwal ke phul kumhlane lage hain
Dushyant Kumar
na ho qamiz to panw se peT Dhak lenge
ye log kitne munasib hain is safar ke liye
Dushyant Kumar
main jise oDhta bichhata hun
wo ghazal aap ko sunata hun
Dushyant Kumar
lahu-luhan nazaron ka zikr aaya to
sharif log uThe dur ja ke baiTh gae
Dushyant Kumar
kaise aakash mein suraKH nahin ho sakta
ek patthar to tabiat se uchhaalo yaro
Dushyant Kumar
kahan to tai tha charaghan har ek ghar ke liye
kahan charagh mayassar nahin shahar ke liye
Dushyant Kumar
ho gai hai pir parwat si pighalni chahiye
is himale se koi ganga nikalni chahiye
Dushyant Kumar
ek qabristan mein ghar mil raha hai
jis mein tah-KHanon se tah-KHane lage hain
Dushyant Kumar