nazar-nawaz nazara badal na jae kahin
zara si baat hai munh se nikal na jae kahin
Dushyant Kumar
zindagi jab azab hoti hai
aashiqi kaamyab hoti hai
Dushyant Kumar
ye soch kar ki daraKHton mein chhanw hoti hai
yahan babul ke sae mein aa ke baiTh gae
Dushyant Kumar
ye sara jism jhuk kar bojh se dohra hua hoga
main sajde mein nahin tha aap ko dhoka hua hoga
Dushyant Kumar
ye log homo-hawan mein yaqin rakhte hain
chalo yahan se chalen hath jal na jae kahin
Dushyant Kumar
yahan tak aate aate sukh jati hai kai nadiyan
mujhe malum hai pani kahan Thahra hua hoga
Dushyant Kumar
wo aadmi nahin hai mukammal bayan hai
mathe pe us ke choT ka gahra nishan hai
Dushyant Kumar
tumhaare paon ke niche koi zamin nahin
kamal ye hai ki phir bhi tumhein yaqin nahin
Dushyant Kumar
tera nizam hai sil de zaban-e-shaer ko
ye ehtiyat zaruri hai is bahar ke liye
Dushyant Kumar

