mohabbat mein KHuda jaane huin ruswaiyan kis se
main un ka nam leta hun wo mera nam lete hain
Bismil Saeedi
do din mein ho gaya hai ye aalam ki jis tarah
tere hi iKHtiyar mein hain umr bhar se hum
Bismil Saeedi
kiya tabah to dilli ne bhi bahut 'bismil'
magar KHuda ki qasam lucknow ne luT liya
Bismil Saeedi
kisi ke sitam is qadar yaad aae
zaban thak gai mehrban kahte kahte
Bismil Saeedi
KHushbu ko phailne ka bahut shauq hai magar
mumkin nahin hawaon se rishta kiye baghair
tho fragrance is very fond, to spread around, increase
this is nigh impossible, till it befriends the breeze
Bismil Saeedi
kabe mein musalman ko kah dete hain kafir
but-KHane mein kafir ko bhi kafar nahin kahte
Bismil Saeedi
ishq bhi hai kis qadar bar-KHud-ghalat
un ki bazm-e-naz aur KHuddariyan
Bismil Saeedi
idhar udhar meri aankhen tujhe pukarti hain
meri nigah nahin hai zaban hai goya
Bismil Saeedi
husn bhi kambaKHt kab KHali hai soz-e-ishq se
shama bhi to raat bhar jalti hai parwane ke sath
when is poor beauty saved from the
along with the moths all night the flame did surely burn
Bismil Saeedi