ab aadmi kuchh aur hamari nazar mein hai
jab se suna hai yar libas-e-bashar mein hai
Bedam Shah Warsi
jis ki is aalam-e-surat mein hai rang-amezi
usi taswir ka KHaka to ye insan bhi hai
Bedam Shah Warsi
hamari zindagi to muKHtasar si ek kahani thi
bhala ho maut ka jis ne bana rakkha hai afsana
Bedam Shah Warsi
dene wale tujhe dena hai to itna de de
ki mujhe shikwa-e-kotahi-e-daman ho jae
Bedam Shah Warsi
edam ye mohabbat hai ya koi musibat hai
jab dekhiye afsurda jab dekhiye jab maghmum
Bedam Shah Warsi
arhaman mujh ko banana na musalman karna
mere saqi mujhe mast-e-mai-e-irfan karna
Bedam Shah Warsi
apna to ye mazhab hai kaba ho ki but-KHana
jis ja tumhein dekhenge hum sar ko jhuka denge
Bedam Shah Warsi
ai junun kyun liye jata hai bayaban mein mujhe
jab tujhe aata hai ghar ko mere sahra karna
Bedam Shah Warsi