par dariya-e-shahadat se utar jate hain sar
kashti-e-ushshaq ki mallah ban jati hai tegh
Bayan Meeruti
shaiKH ke mathe pe miTTi barhaman ke bar mein but
aadmi dair-o-haram se KHak patthar le chala
Bayan Meeruti
wahi uThae mujhe jo bane mera mazdur
tumhaare kuche mein baiTha hun main makan ki tarah
Bayan Meeruti
wo haTe aankh ke aage se to bas surat-e-aks
main bhi is aaina-KHana se nikal jaunga
Bayan Meeruti
wo poshida rakhte hain apna talluq
idhar dekh kar phir udhar dekh lena
Bayan Meeruti
yaad mein KHwab mein tasawwur mein
aa ki aane ke hain hazar tariq
Bayan Meeruti
ye tasir mohabbat hai ki Tapka
hamara KHun tumhaari guftugu se
Bayan Meeruti