adaen ta-abad bikhri paDi hain
azal mein phaT paDa joban kisi ka
Bayan Meeruti
ai tan-parast jama-e-surat kasif hai
bazm-e-huzur-e-dost mein kapDe badal ke chal
Bayan Meeruti
dil aaya hai qayamat hai mera dil
uThe tazim de joban kisi ka
Bayan Meeruti
gauhar-e-maqsad mile gar charKH-e-minai na ho
ghota-zan bahr-e-haqiqat mein hun gar kai na ho
Bayan Meeruti
hawa-e-wahshat dil le uDi kahan se kahan
paDi hai dur zamin gard-e-karwan ki tarah
Bayan Meeruti
hazaron dil masal kar pair se jhunjhla ke yun bole
lo pahchano tumhaara in dilon mein kaun sa dil hai
Bayan Meeruti
kabhi hansaya kabhi rulaya kabhi rulaya kabhi hansaya
jhijak jhijak kar simaT simaT kar lipaT lipaT kar daba daba ka
Bayan Meeruti
nahin ye aadmi ka kaam waiz
hamare but tarashe hain KHuda ne
Bayan Meeruti
nairangiyan falak ki jabhi hain ki hon baham
kali ghaTa safed pyale sharab-e-surKH
Bayan Meeruti