dekha to ek shoale se ai shaiKH-o-barhaman
raushan hain sham-e-dair o charagh-e-haram baham
Baqaullah u0027Baqau0027
dekh aaina jo kahta hai ki allah-re main
us ka main dekhne wala hun 'baqa' wah-re main
Baqaullah u0027Baqau0027
chhoD kar kucha-e-mai-KHana taraf masjid ke
main to diwana nahin hun jo chalun hosh ki rah
Baqaullah u0027Baqau0027
ulbul se kaha gul ne kar tark mulaqaten
ghunche ne girah bandhin jo gul ne kahin baaten
Baqaullah u0027Baqau0027
as pa-e-junun sair-e-bayaban to bahut ki
ab KHana-e-zanjir mein Tuk baiTh ke dam le
Baqaullah u0027Baqau0027
ang-e-takbir to aisi hai 'baqa' sina-KHarash
ungliyan aap moazzin ne dharin kan ke bich
Baqaullah u0027Baqau0027
apni marzi to ye hai banda-e-but ho rahiye
aage marzi hai KHuda ki so KHuda hi jaane
Baqaullah u0027Baqau0027