duniya ki rawish dekhi teri zulf-e-dota mein
banti hai ye mushkil se bigaDti hai zara mein
Aziz Hyderabadi
aankhon mein teri shakl hai dil mein hai teri yaad
aae bhi to kis shan se furqat ke din aae
Aziz Hyderabadi
dhaDakte hue dil ke ham-rah mere
meri nabz bhi chaara-gar dekh lete
Aziz Hyderabadi
dekhta hun un ki surat dekh kar
dhup mein tare nazar aate hain mujhe
Aziz Hyderabadi
dard sahne ke liye sadme uThane ke liye
un se dil apna mujhe wapas talab karna paDa
Aziz Hyderabadi
dam-e-takallum kisi ke aage hum apne dil ko bhi dete hauke
milate chun chun ke lafz aise sawal goya jawab hota
Aziz Hyderabadi
ahut kuchh dekhna hai aage aage
abhi dil ne mere dekha hi kya hai
Aziz Hyderabadi
ayan ya nihan ek nazar dekh lete
kisi surat un ko magar dekh lete
Aziz Hyderabadi
abhi kuchh hai abhi kuchh hai abhi kuchh
teri kafir-nazar kya jaane kya hai
Aziz Hyderabadi