main ek bori mein laya hun bhar ke mung-phali
kisi ke sath december ki raat kaTni hai
Aziz Faisal
aise bandon ko jaanta hun main
jin ka wahid ilaj malish hai
Aziz Faisal
kitni mazahiya hai ye botal ke jin ki baat
aaqa ab inqalab hai do chaar din ki baat
Aziz Faisal
ishq mein ye tafraqa-bazi bahut mayub hai
pyar ko shia wahabi aur sunni mat samajh
Aziz Faisal
hai kaamyabi-e-mardan mein hath aurat ka
magar tu ek hi aurat pe inhisar na ka
Aziz Faisal
do KHat ba-nam-e-zauja-o-jaanan likhe magar
donon KHaton ka us se lifafa badal gaya
Aziz Faisal
de rahe hain is liye jangal mein dharna jaanwar
ek chuhe ko rihaish ke liye bil chahiye
Aziz Faisal
das bara ghazliyat jo rakhta hai jeb mein
bazm-e-suKHan mein hai wo nishani wabaal ki
Aziz Faisal
cable pe ek shef se jaldi mein sikh kar
lai wo shimla-mirch ka halwa mere liye
Aziz Faisal

