aaina-KHane mein khinche liye jata hai mujhe
kaun meri hi adalat mein bulata hai mujhe
Aziz Bano Darab Wafa
aaj kam-az-kam KHwabon hi mein mil ke pi lete hain, kal
shayad KHwabon mein bhi KHali paimane Takraen log
Aziz Bano Darab Wafa
ahmiyat ka mujhe apni bhi to andaza hai
tum gae waqt ki manind ganwa do mujh ko
Aziz Bano Darab Wafa
apni hasti ka kuchh ehsas to ho jae mujhe
aur nahin kuchh to koi mar hi Dale mujh ko
Aziz Bano Darab Wafa
ichhaD ke bhiD mein KHud se hawason ka wo aalam tha
ki munh khole hue takti rahin parchhaiyan hum ko
Aziz Bano Darab Wafa
ujha ke rakh gaya hai kaun mujh ko taq-e-nisyan par
mujhe andar se phunke de rahi hai raushni meri
Aziz Bano Darab Wafa
chaman pe bas na chala warna ye chaman wale
hawaen bechte nilam rang-o-bu karte
Aziz Bano Darab Wafa
charagh ban ke jali thi main jis ki mahfil mein
use rula to gaya kam se kam dhuan mera
Aziz Bano Darab Wafa
charaghon ne hamare sae lambe kar diye itne
sawere tak kahin pahunchenge ab apne barabar hum
Aziz Bano Darab Wafa