KHwabon ki kirchiyan meri muTThi mein bhar na jae
aainda lamha ab ke bhi yunhi guzar na jae
Atiiqullah
aaina aaina tairta koi aks
aur har KHwab mein dusra KHwab hai
Atiiqullah
is gali se us gali tak dauDta rahta hun main
raat utni hi mayassar hai safar utna hi hai
Atiiqullah
har manzar ke andar bhi ek manzar hai
dekhne wala bhi to ho tayyar mujhe
Atiiqullah
hum zamin ki taraf jab aae the
aasmanon mein rah gaya tha kuchh
Atiiqullah
faza mein hath to uTThe the ek sath kai
kisi ke waste koi dua na karta tha
Atiiqullah
din ke hangame jila dete hain mujh ko warna
subh se pahle kai martaba mar jaata hun
Atiiqullah
aDi chiz hai ye supurdagi ka mahin pal
na samajh sako to mujhe ganwa ke bhi dekhna
Atiiqullah
apne sukhe hue gul-dan ka gham hai mujh ko
aankh mein ashk ka qatra bhi nahin hai koi
Atiiqullah