tere falak hi se TuTne wali raushni ke hain aks sare
kahin kahin jo chamak rahe hain huruf meri ibaraton mein
Atiiqullah
kuchh badan ki zaban kahti thi
aansuon ki zaban mein tha kuchh
Atiiqullah
lams ki shiddaten mahfuz kahan rahti hain
jab wo aata hai kai fasle kar jata hai
Atiiqullah
mujh mein KHud meri adam-maujudgi shamil rahi
warna is mahaul mein jina baDa dushwar tha
Atiiqullah
pani tha magar apne hi dariya se juda tha
chaDhte hue dekha na utarte hue dekha
Atiiqullah
ail ki paTri ne us ke TukDe TukDe kar diye
aap apni zat se us ko bahut inkar tha
Atiiqullah
safar-girafta rahe kushtagan-e-nan-o-namak
hamare haq mein koi faisla na karta tha
Atiiqullah
ye rah-e-talab yaro gumrah bhi karti hai
saman usi ka tha jo be-sar-o-saman tha
Atiiqullah
ye dekha jae wo kitne qarib aata hai
phir is ke baad hi inkar kar ke dekha jae
Atiiqullah

