aadmi pahle bhi nanga tha magar jism talak
aaj to ruh ko bhi hum ne barahna paya
Asghar Mehdi Hosh
jo hadisa ki mere liye dardnak tha
wo dusron se sun ke fasana laga mujhe
Asghar Mehdi Hosh
jaane kis kis ka gala kaTta pas-e-parda-e-ishq
khul gae meri shahadat mein sitamgar kitne
Asghar Mehdi Hosh
hum bhi karte rahen taqaza roz
tum bhi kahte raho ki aaj nahin
Asghar Mehdi Hosh
gir bhi jati nahin kam-baKHt ki fursat ho jae
kaundti rahti hai bijli mere KHirman ke qari
Asghar Mehdi Hosh
Dubne wale ko sahil se sadaen mat do
wo to Dubega magar Dubna mushkil hoga
Asghar Mehdi Hosh
diwar un ke ghar ki meri dhup le gai
ye baat bhulne mein zamana laga mujhe
Asghar Mehdi Hosh
achche khuli faza mein kahan tak nikal gae
hum log ab bhi qaid isi baam-o-dar mein hain
Asghar Mehdi Hosh
aane wale daur mein jo paega paighambari
mera chehra mera dil meri zaban le jaega
Asghar Mehdi Hosh