aah kya kya aarzuen nazr-e-hirman ho gain
roiye kis kis ko aur kis kis ka matam kijiye
Asar Sahbai
ilahi kashti-e-dil bah rahi hai kis samundar mein
nikal aati hain maujen hum jise sahil samajhte hain
Asar Sahbai
jahan pe chhaya sahab-e-masti baras rahi hai sharab-e-masti
ghazab hai rang-e-shabab-e-masti ki rind o zahid bahak rahe hain
Asar Sahbai
jis husn ki hai chashm-e-tamanna ko justuju
wo aaftab mein hai na hai mahtab mein
Asar Sahbai
KHuda ki den hai jis ko nasib ho jae
har ek dil ko gham-e-jawedan nahin milta
this is a gift from God, the blessed are bestowed
not on every heart is this eternal ache endowed
Asar Sahbai
sari duniya se be-niyazi hai
wah ai mast-e-naz kya kahna
Asar Sahbai
sajde ke dagh se na hui aashna jabin
begana-war guzre har ek aastan se hum
Asar Sahbai
tere shabab ne kiya mujh ko junun se aashna
mere junun ne bhar diye rang teri shabab mein
Asar Sahbai
tumhaari yaad mein duniya ko hun bhulae hue
tumhaare dard ko sine se hun lagae hue
Asar Sahbai