اردو हिंदी
Lutf gunah mein mila aur na maza sawab mein | Shaahi Shayari
lutf gunah mein mila aur na maza sawab mein

Ghazal

Lutf gunah mein mila aur na maza sawab mein

Asar Sahbai

;

lutf gunah mein mila aur na maza sawab mein
umr tamam kaT gai kawish-e-ehtisab mein

tere shabab ne kiya mujh ko junun se aashna
mere junun ne bhar diye rang teri shabab mein

aah ye dil ki jaan-gudaz joshish-e-iztirab hai
hae wo daur jab kabhi lutf tha iztirab mein

qalb taDap taDap uTha ruh laraz laraz gai
bijliyan thin bhari hui zamzama-e-rubab mein

charKH bhi mai-parast hai bazm-e-zamin bhi mast hai
gharq-e-buland-o-past hai jalwa-e-mahtab mein

mere liye ajib hain teri ye muskurahaTen
jag raha hun ya tujhe dekh raha hun KHwab mein

mere sukut mein nihan hai mere dil ki dastan
jhuk gai chashm-e-fitna-za Dub gai hijab mein

lazzat-e-jam-e-jam kabhi talKHi-e-zahr-e-gham kabhi
ishrat-e-zist hai 'asar' gardish-e-inqilab mein