ada se dekh lo jata rahe gila dil ka
bas ek nigah pe Thahra hai faisla dil ka
Arshad Ali Khan Qalaq
aalam-e-piri mein kya mu-e-siyah ka eatibar
subh-e-sadiq deti hai jhuTi gawahi raat ki
Arshad Ali Khan Qalaq
jab hua garm-e-kalam-e-muKHtasar mahka diya
itr khincha yar ke lab ne gul-e-taqrir ka
Arshad Ali Khan Qalaq
KHuda-hafiz hai ab ai zahido islam-e-ashiq ka
butan-e-dahr ghaalib aa gae hain kaba-o-dil pa
Arshad Ali Khan Qalaq
KHat mein likkhi hai haqiqat dasht-gardi ki agar
nama-bar jangali kabutar ko banana chahiye
Arshad Ali Khan Qalaq
KHaridari-e-jins-e-husn par raghbat dilata hai
bana hai shauq-e-dil dallal bazar-e-mohabbat ka
Arshad Ali Khan Qalaq
KHafa ho galiyan do chahe aane do na aane do
main bose lunga sote mein mujhe lapka hai chori ka
Arshad Ali Khan Qalaq
karo tum mujh se baaten aur main baaten karun tum se
kalim-ullah ho jaun main ejaz-e-takallum se
Arshad Ali Khan Qalaq
karenge hum se wo kyunkar nibah dekhte hain
hum un ki thoDe dinon aur chah dekhte hain
Arshad Ali Khan Qalaq