jo apne aap se baDh kar hamara apna tha
use qarib se dekha to dur ka nikla
Aqeel Shadab
aandhiyan sab kuchh uDa kar le gain
peD par patta na phal daman mein tha
Aqeel Shadab
ek kanTe se dusra main ne liya nikal
phulon ka is des mein kaisa paDa akal
Aqeel Shadab
hua jo sahl us ke ghar ka rasta
maza hi kuchh takan mein nahin raha
Aqeel Shadab
hawas ka rang chaDha us pe aur utar bhi gaya
wo KHud hi jama hua aur KHud bikhar bhi gaya
Aqeel Shadab
har ek lamha saron pe hai saneha aisa
har ek sans guzarti hai hadsat aisi
Aqeel Shadab
hai lafz-o-mani ka rishta zawal-amada
KHayal paida hua bhi na tha ki mar bhi gaya
Aqeel Shadab
guman hi asasa tha yaqin ka
yaqin hi guman mein nahin raha
Aqeel Shadab
chadar maili ho gai ab kaise lauTaun
apne piya ke samne jate hue sharmaun
Aqeel Shadab