aaegi hum ko ras na yak-rangi-e-KHala
ahl-e-zamin hain hum hamein din raat chahiye
Anjum Rumani
aaj ka jhagDa aaj chuka
kal ki baaten kal par Tal
Anjum Rumani
aur kuchh din KHarab ho lije
sud apna hai is ziyan mein abhi
Anjum Rumani
dekhoge to aaegi tumhein apni jafa yaad
KHamosh jise paoge KHamosh na hoga
Anjum Rumani
dete nahin sujhai jo duniya ke KHatt-o-KHal
aae hain tirgi mein magar raushni se hum
Anjum Rumani
dil se uThta hai subh-o-sham dhuan
koi rahta hai is makan mein abhi
Anjum Rumani
jab tak ki hain zamane mein hum se KHarab log
masjid kahin kahin koi mai-KHana chahiye
Anjum Rumani
kis ki jabin pe hain ye sitare araq araq
kis ke lahu se chand ka daman hai dagh dagh
Anjum Rumani
kisi bhi haal mein raazi nahin hai dil hum se
har ek tarah ka ye kafir bahana rakhta hai
Anjum Rumani