gale laga ke kiya nazr-e-shoala-e-atish
qafas se chhuT ke phir aashiyan mile na mile
Anand Narayan Mulla
aaina-e-rangin jigar kuchh bhi nahin kya
kya husn hi sab kuchh hai nazar kuchh bhi nahin kya
Anand Narayan Mulla
ek ek lamhe mein jab sadiyon ki sadiyan kaT gain
aisi kuchh raaten bhi guzri hain meri tere baghai
Anand Narayan Mulla
dil-e-betab ka andaz-e-bayan hai warna
shukr mein kaun si shai hai jo shikayat mein nahin
Anand Narayan Mulla
dayar-e-ishq hai ye zarf-e-dil ki jaanch hoti hai
yahan poshak se andaza insan ka nahin hota
Anand Narayan Mulla
ashk-e-gham-e-ulfat mein ek raaz-e-nihani hai
pi jao to amrit hai bah jae to pani hai
Anand Narayan Mulla
aql ke bhaTke houn ko rah dikhlate hue
hum ne kaTi zindagi diwana kahlate hue
Anand Narayan Mulla
ab ban ke falak-zad dikhate hain hamein aankh
zarre wahi kal jin ko uchhaala tha hamin ne
Anand Narayan Mulla
ab aur is se siwa chahte ho kya 'mulla'
ye kam hai us ne tumhein muskura ke dekh liya
Anand Narayan Mulla